Monday, August 20, 2012

Little hearts.


Toote hue dil se poocho
mohabbat ka aghaaz kya hai
siskiyon ki shor se poocho
tanhayee ki awaaz kya hai
kisi bewafa ki bewafai se poocho
wafa ka raaz kya hai


Char din ki chandni
simat le isme zindagi
pyaar ki yeh dastaan
dhoond le isme tera jahan

Dard-e-dil se na poocho inteha kiska hai
Behoshi ke aalam mein yeh intezaar kiska hai.
Lafzon ko na uljhaao khamoshi mein
Baaton ko na suljhaao ghum-e-judaai mein.

anjaane shehar mein
anjaane pehar mein
anjane rahon mein
dhoonde naina baahon mein
yeh kaisa saath hai
jaane kaunsi baat hai
haal-e-dil ke safar mein
yeh kaisi kaali raat hai.

Pehle pyaar ka gharonda banana nahi jaante the,
ab nafrat se rubaru hona nahi jaante
Pehle aasoon ke tinkon se ghum mitana nahi jaante the
ab zindagi aur maut ka afsana nahi jaante
Pehle aasman mein taaron ko choona nahi jaante the
ab zameen par pair rakhna nahi jaante
Pehle dil ki awaaz ko sunna nahi jaante the
Ab dard ka aashiana dhoondna nahi jaante.